“Mera naam Jahan Ara hai, main Khodna Kalan gaon se hoon aur meri umar 36 saal hai. Pehle mujhe sarkari yojnaon ke baare mein zyada jaankari nahi thi. Mujhe lagta tha inka kaam karwana bahut mushkil aur mehenga hota hai. Lekin jab mere gaon mein NPCL ke sahyog se Uplift Live Foundation nain Shashakt Abhiyan camp lagaya, tab sab kuch badal gaya.
Camp ke through mera ABHA ID, E-Shram Card, PMJJBY, PMSBY, aur Family ID ban gaya. Agar ye camp na hota, toh mujhe ye sab banwane ke liye alag-alag jagah jana padta aur kaafi paise kharch hote. Par yahan sab kuch free aur aasani se ho gaya.
Main dil se NPCL aur Uplift Live Foundation ke team ka shukriya karti hoon, jin logon ne hum jaise gaon ke logon tak ye suvidhayein pahunchayi. Aaj mujhe garv hota hai ki main bhi sarkari yojnaon se jud kar apne parivar ke liye kuch achha kar rahi hoon.”
Jahan Ara
Beneficiary, Project Shashakt Abhiyan
Khodna Kalan Village